Bumble ne Bloom ke saath partnership mein yeh muft, online trauma sahayog program survivors ke liye banaya – Isse koi farak nahi padta ki humne kis prakar ka durvyavahar ka saamana kiya hai, ya hum apne safar mein kaha hai.
Bloom aapke saath hai, aap chahe jo bhi hon.
Sabki Healing ka safar alag hota hai. Jab hum Sexual assault aur rishton mein hinsa ka sadama anubhav karte hai, tab hume baad ke prabhaav ko sambhaalne ke liye sahyog ki zaroorat hoti hai. Isko pehchane ke baad, Bumble ne Bloom ke saath partner kiya hai ek muft ,aapke zaroorat ke hisaab se online trauma sahayog program sexual assault aur rishton mien hinsa ke survivors ke liye banaya.
Bumble, jo mahilao ko pehle sochke banai gai hai, ek dating aur networking (logo se milna julna) app hai jo logo ko judati hai aar-paar se dating (Bumble Dating) ke zariye, Frienship (Bumble BFF) ke zariye aur Professional networking (Bumble Bizz) ke zariye. Bumble samaan sambandho ke mahatv ke upar banaaya gaya hai, jo ek svasth, sukhee jeevan ke liye mahatvpoorn hai.