Bloom logo
    Log in
    CoursesChatActivitiesStirthaMessages

    Humari Bloom Team

    Humari team ke log duniya ke har kone se hai. Hum survivors ke anubhavon ki parvaah karte hai aur unn sab tareekon ka jisse humari pehchan humare anubhavo ko asar karti hai, kyunki hum mein se kai log bhi khud survivors hai.

    Illustration of the outline of a persons face from a side profile, with a flower beside the face.

    Core team

    Hera Hussain Chayn ki founder aur CEO hain. Unke paas survivors ko sahayata dena ka saalon ka tajurba hai. Vo hamari Safeguarding Lead hain. Hera Pakistan mein pali badi thi aur fir UK mein aake unhon Psychology aur Economics pada. Hera Forbes 30 Under 30 aur MIT Technology Review’s Innovators Under 35 ki list par sthan hasil kar chuki hain aur unhe British Empire Medal se Queen se sammanit bhi kiya hai.

    Nooreen Khan Bangladeshi hai aur Abu Dhab, UAE mein badi hui hai. Vo ab Edmond, Canada mein rehti hain. Nooreen ling-adharit hinsa (gender-based  violence) expert hain aur unka background public health mein hai. Nooreen Chayn ki sabse purani sadasyons mein se hain jab unhone Chayn 2006 mein join kiya aur ab vo Chayn ki Community aur Culture Lead jahan unki zimmedari hain team ka acha swasthya, operations mein kaam karna aur Bloom ke courses ko facilitate karna.

    Francesca grew up in the UK and lives in London. Before joining Chayn as the Survivor Services Lead for our Bloom project, Francesca worked in frontline support services for survivors of sexual violence and youth work. She has a lot of experience supporting survivors around and through the criminal legal system, managing teams of frontline workers, and developing ways of working.

    Mehak Ahmed Delhi, India se hain. Unke pass Masters in Psychology (Psychosocial Clinical Studies) hain  Ambedkar University, Delhi se. Vo ek counselling psychologist hain, pratimaanit (certified) yoga shikshak hai, aur side mein ek improv samuh ka bhi bhi hissa hain. Chayn mein Mehak Bloom project ko badane mein sahayata kar rahi hain - trauma-informed courses pe kaam karna, unhe facilitate karna aur yeh courses Hindi bolne jaane wale logon tak pahuchana.

    leaves with a rose bloom

    Hamare Volunteers

    Chayn ne ek Volunteer dvaara survivors aur sahayogiyon ke network ke roop mein shuruaat ki, jo soochana, ekjulata aur upachaar ke liye nareevaadi sthan (feminist space) banana chahte the. Humare volunteers humari sevayon ko  soochit karne mein, jaanchne mein aur designing mein ek mahatvpoorn hissa nibhaate hain. 


    leaves and stars

    Humare Therapists 

    Hum certified therapists ke network ke saath apne courses ko milkar banate hai jo trauma informed aur naareevaadee drishtikon (feminist approach) ka abhyas karte hain. Ve vishv bhar se hai aur kayi bhaashaen bolte hain.


    Supporting team

    Humari badhi si team ne humare course videos ko edit karne, likhane aur record karne mein madad ki hai aur inn mein se kuch log 1:1 chat par bhi sahaayata pradaan karte hai. Ve apne saath gyaan aur jeevan ke anubhav ka khazana laate hai aur unhe Chyan dvaara train bhi kiya gaya hai. Aap yaha kisi aise vyakti se bhi mil sakte hai jo aapke saman sthaan par sthit hai. 


    Illustration of cycle, representing change.

    Humare Anusandhan aur Puraskar

    Chayn ko apne abhinav kaaryon ke liye kayi puraskar praapt karne ka samma mila hai. 


    Bloom ko neeche likhe puraskar mile hai:


    2022 Anthem Awards - Silver 2022


    CogX Global Goals - Accha Svaasty aur Kalyan Puraskar

    Aap hamare puraskaron ki puri soochi yahan dekh sakte hai


    Funded By

    The National Lottery Community Fund logo

    Comic Relief logo

    Vittiya Poshit Dvara

    Comic Relief logoCommunity Fund logo