Bloom logo
    Bloom pe swagat hai
    ek vyakti ke chehre aur kandho ka chitra hai, jiske upar bade patte aur fool khile hue hain

    Ek neeji aur sahayog sthan se seekhe aur sadme se theek hoiye. Humare course duniya bhar ke survivours, sahayogiyon, mental health sahaayata ke kaaryakartaon aur therapists dvaara likhe aur jaanche jaate hain. 

    Sadme se ubharna akelapan mehsson karata hai. Hum yahaan aapke saath hai.

    Shuru kariye

    Bloom ke courses shuru karne ke liye humare saath account banaiye ya fir pehle Bloom ke bare mein aur janiye.

    Shuru kariye

    Bloom course mein kya hai?

    Cheh se aath sessions, har ek ke saath:

    • Captions aur transcript ke saath 30 minute ka video

    • Apne samay mein karne ke liye ek vichaar sambandhi activity

    • Bonus content, padhne ki list aur bahut kuch

    Is poore varsh mein humaare dvaara chalae jaa rahe courses ke baare mein adhik jaankaaree praapt kare. In mein se kuch pehle se hi uplabdh hai, isliye humare material ko access karne ke liye aaj hi sign up kare!

    Apne hisaab se kaam kare ya live course mein shamil hoye. 

    Illustration of a document with squiggly lines to represent text.

    Humara Bloom course

    Plus icon
    Illustration of a calendar with a heart in the middle.

    Whatsapp aur Telegram ke maadhyam se prerak sandesh, vichar aur reminders.

    Plus icon
    Illustration of the outline of a persons face from a side profile, with a flower beside the face.

    Bloom team ke saath 1-1 chat

    Shuruat Kariye

    Illustration of a heart

    Aap humesha humare team ke saath gumnam rahenge, keval humare team ke sampark mein

    Keval humari team ke sampark mein.

    Illustration of play/pause icons

    Aap kabhi bhi course ko rok sakte hai ya chod sakte hai

    Choice humesha aapka hai.

    Isne mere pichle anubhavon mein itni spashtata lai hai,shabdon, labels aur researched sabooton ko rakhkar jo mujhe nahi pata tha ki kaise samjhaana ya explain karna, mein sirf bhaavanao ko jaanti thi.
    ~ Survivor

    Humari Bloom Team

    Humari global team survivors ke anubhavon ka bahut dhyaan rakhti hai aur samjhti hai ki humari pehchan huamre sadme ke anubhav ko prabhavit karti hai. Hum bloom par behtareen expertise aurjeevant anubhav laate hai. 

    Four women's faces, intertwined by a plant and a rose in the middle
    Team se Miliye
    leaves with a rose bloom

    Bloom ke Bare Mein

    Bloom survivours ko soochit aur empower karta hai yeh courses de kar jo aap ghar baithe bhi pad sakte hain, sadma aur ling aadharit hinsa ke baare mein vah pure vash ke survivors ki samajh ko mila kar hai. Yeh courses therapeutic practices ke saath hai jo aapko sadme se theek hone me madad karenge. Bloom Chayn ka ek programme hai.

    leaves and stars

    Chayn ke Bare Mein

    Chayn ek global nonprofit sanstha hai, jo duniya bhar ke suvivors aur sahayogiyon dvaara chalayi jaati hai, jo gender-based violence (ling-aadharit hinsa) ke survivors ke liye sahayata sansadhan banati hai. Hum abuse aur shohan ke survivours ke liye open, online sansadhan banate hain jo aghaat-soochit (trauma-informed), pratichedan (intersectional), bahubhashi (multilingual) aur naariwadi (feminist) hote hain.

    leaves with fire

    Aapke Bare Mein

    Bloom aapake prshthabhoomi, jaati, umr, vikalaangata, dharm ya vishvaas, kamukata, ling pahachaan ya abhivyakti, ya jeevan paristhitiyon ke paravah kiye bina kisi ke liye bhi upalabdh hai - ham yahan aapake liye hain.

    Bloom mere liye bahut achha anubhav raha hai. Bloom ke course ne mujhe “apne aap par kaam karne” ka kya mainey hai aur yeh kaise dikhta hai, iss par bahut vichaar kiya hai. Aur Bloom ke maadhyam se meine yeh samjha hai apne aap par kaam karna school ya shauk ke samaan hai - isme nishta, samya aur padhai lagta hai. Yeh course gumnam, aasaani se mil jata hai aur smaay ke prati sensitive hai - mujhe lagta hai ki yeh sabhi pratibhaagiyon anugrah pradhan karta hai jinhe woh samay, sthan aur badhave ki zarorrat hoti hai iss session ko pura karne mein.
    ~ Survivor

    Bloom aapke liye Chayn dwara laya gaya hai, jo ek veshvik non-profit sanstha hai, jise duniya bhar ke survivors aur samarthak chalate hai. Vo ling-adharit hinsa se guzre hue logon ki healing ke liye sansadhan banate hain.

    Humari policies