Bloom logo
    Log in
    Bloom ki partnership Badoo logo ke saath
    ek vyakti ke chehre aur kandho ka chitra hai, jiske upar bade patte aur fool khile hue hain

    Ek muft, online trauma support program ke maadhyam se, Badoo aur Bloom ek saath, vaishvik Badoo samudaay ke bheetar yaun utpeedan aur rishte ke durupayog se prabhavit logon ko sansaadhan pradaan kar rahe hain.

    Shuru kariye

    Apna Bloom ka safar shuru karne ke liye Badoo dwara diya gaya access code daaliye.

    Illustration of a person sitting, holding a heart.

    Program ke Baare Mein

    Sabke theek hone ka safar alag hai. Jab hum sexual assault ya rishte mein hinsa ke kaaran sadma anubhav karte hai, hume sahayog ki zaroorat hoti hai. Badoo ne Bumble ke saath partner kiya hai ek muft , aapke zaroorat ke hisaab se online trauma sahayog program banane ke liye. Yeh program feedback ke aadharit banaya gaya hai jo vishv bhar ke Badoo aur Bloom ke samuday se mila hai.

    Partnership ke bare mein

    leaves with a rose bloom

    Bloom ke Bare Mein

    Bloom survivours ko soochit aur empower karta hai yeh courses de kar jo aap ghar baithe bhi pad sakte hain, sadma aur ling aadharit hinsa ke baare mein vah pure vash ke survivors ki samajh ko mila kar banaya gaya hai. Yeh courses therapeutic practices ke saath hai jo aapko sadme se theek hone me madad karenge. Bloom Chayn ka ek programme hai.

    leaves with a badoo heart

    Badoo ke Bare Mein

    Badoo ek aisa app hai jo dating ko straightforward aur romaanchak banaye rakhta hai. Anya dating app ke vipareet, jo dabaav aur dikhava mein uchh hai, Badoo apne samudaay ko turant chat karne deta hai aur apne aas-paas ke asli logon ke khoj karta hai. Iss beech Badoo ke kai suraksha suvidhaaen daters ko control mein rahne mein madad karta hain. 

    leaves with fire

    Aapke Bare Mein

    Yeh programme har Badoo user ke liye upalabdh hai, jo Badoo ko sexual abuse ya assault ko report karta hai, chahe aapke jaati, umr, dharm ya vishvaas, sexuality, gender identity ya pehchan ya jeevan ki koi bhi parishtithiya kuch bhi – hum aapke liye yahaan hai. 

    Vittiya Poshit Dvara

    Comic Relief logoCommunity Fund logo