Bumble ne Bloom ke saath partnership mein yeh muft, online trauma sahayog program survivors ke liye banaya – Isse koi farak nahi padta ki humne kis prakar ka durvyavahar ka saamana kiya hai, ya hum apne safar mein kaha hai.
Apna Bloom ka safar shuru karne ke liye Bumble dwara diya gaya access code daaliye.
Sabki Healing ka safar alag hota hai. Jab hum Sexual assault aur rishton mein hinsa ka sadama anubhav karte hai, tab hume baad ke prabhaav ko sambhaalne ke liye sahyog ki zaroorat hoti hai. Isko pehchane ke baad, Bumble ne Bloom ke saath partner kiya hai ek muft ,aapke zaroorat ke hisaab se online trauma sahayog program sexual assault aur rishton mien hinsa ke survivors ke liye banaya.
Bloom survivours ko soochit aur empower karta hai yeh courses de kar jo aap ghar baithe bhi pad sakte hain, sadma aur ling aadharit hinsa ke baare mein vah pure vash ke survivors ki samajh ko mila kar banaye hai. Yeh courses therapeutic practices ke saath hai jo aapko sadme se theek hone me madad karenge. Bloom Chayn ka ek programme hai.
Bumble, jo mahilao ko pehle sochke banai gai hai, ek dating aur networking (logo se milna julna) app hai jo logo ko judati hai aar-paar se dating (Bumble Dating) ke zariye, Frienship (Bumble BFF) ke zariye aur Professional networking (Bumble Bizz) ke zariye. Bumble samaan sambandho ke mahatv ke upar banaaya gaya hai, jo ek svasth, sukhee jeevan ke liye mahatvpoorn hai.
Yeh programme har Bumble user ke liye upalabdh hai, jo Bumble ko sexual abuse ya assault ko report karta hai, chahe aapke jaati, umr, dharm ya vishvaas, sexuality, gender identity ya pehchan ya jeevan ki koi bhi parishtithiya – hum aapke liye yahaan hai.
Bloom aapke liye Chayn dwara laya gaya hai, jo ek veshvik non-profit sanstha hai, jise duniya bhar ke survivors aur samarthak chalate hai. Vo ling-adharit hinsa se guzre hue logon ki healing ke liye sansadhan banate hain.
Humari policies